Kis Kis madhyam se ham ONLINE EARNING kar sakate hai ( Medium of online earning) 🏆

Dosto aaj-kal dekha jaye to pure karobar online ho rahe hai, aur sath hi sath berojgari bhi badh rahi hai isliye ONLINE EARNING yeh ek sabse bada platform banane ja raha hai.
Halaki bohot logone Online Earning bohot pahale suru ki hai aur hame inke bare me bohot late jankari hui hai, aur fir bhi bohot sare logonko abhi bhi inki jankari nahi hai. Aur Online earning ki jo bhi jankari hai oh ek to english me hoti hai ya fir video ke jariye jadatar hoti hai isliye jin logon ko aram se ya fir jin logon ke dimag me koi chij jaladi nahi baithati un logon ko deficulty hoti hai samajneme.
Hamase pehle bohot sare logon ne Online earning 10 saal pehle hi start ki hai qunke unke pata tha ki online earning kaise karte hai par jin logon ko ab tak yahi pata nahi hai ki 0 invastment ke bhi earning kar sakate hai un logon ko aaj ka yeh hamara blog hai.
To sabase pehle jan lete hai ki online earning ke madhyam yane ki medium of online earning kya kya hai.
Medium of online eranings/Type of online earnings:-
Sabse pehle jaan lete hai ki YouTube se aap kaise online earning kar sakate hai.
YouTube
YouTube yeh ek duniya ka sabse bada video platform hai. yaha pe har din karodome videos upload hote hai aur karodo log har din YouTube ka use karte hai. Agar har din etane sare log youtube ka use karte hai to jahir si baat hai ki jin logon ko apane product ya fir kis bhi chij ki advetisement karni ho to oh youtube ke pass ayega.
To oh log apni advirtisement leke youtube ke pass ate hai. lekin youtube pe jo log videos upload karte hai vaha pe unki mehanat hoti hai to youtube sochata hai ki bhai yeh log itani sari mehanat karke apana content daal rahe hai to hamare paas jo bhi aad aa rahi hai yeh inke videos pe denge aur iske badale me ham in videoswalon ko paise denge.
To sidhi baat yeh hai ki jinko apani advertisement deni hai oh youtube ko paise deta hai aur aap log youtube pe videos dalne ke liye mehnat lete ho isliye youtube aap channels walon ko inka refund earning ke jariye youtube aapko deti hai.
Leking ya pe apna channel hai iska matlab yeh nahi hai ki aap kuch bhi upload kardo. youtube ke apane rules hai. agar aap unke rules follow kar ke kuch accha content daloge to apki earning pakki ho jayegi.
Inshort youtube aap ek channel banao, uspe kuch accha, jo logon ko accha lage o content dalo aur agar youtube ke rules aur policy me baithega to youtube apke channel monitize karega aur apke videos par ads dega aur us ads se apni earning hogi.
Blogging
Agar advertisement ka mamla dekha jaye to same youtube ka hai vaisahi hai. par youtube pe aap videos ke form me content daloge, leging blogging me apane in written form content dalna padega.
Ab blogging me bhi alag alag websites hai jo apko blogging karne ke liye platforms uplabdh karvati hai usme se kuch hai
Blogger yeh ek google ka platform hai aur vah puri tarah free hai isliye bohotsare log iska istemal karte hai leking aap agar high level pe jate ho ya fir apka budget kuch bada hai to bohot sare log wordpress istemal karte hai.
Hamara blog padhanewale mai samajta hu ki sabhi naye log hoge isliye apke liye blogger is best blogging option.
Yaha bhi same as youtube. apko yaha pe written content dalana padega, apka blogg agar blogger ke sabhi rules aur policies puri karega to apko google adsense approval dega aur usake baad apake blogger pe ya fir websites pe ads dikhane start ho jayenge then apaki online earning start ho jayegi.
Lekin in sabhi platform pe apke followers hone bohot jaruri hai. Agar apko approval bhi mila lekin apke youtube channel pe ya fir blog pe visitors hi nahi hai to apki earning kaise hogi? Apke videos pe ya fir blog pe koi ads dekhanewala hi nahi hai to apko google kaha se paise dega.
Isliye yaha pe sirf website, blog, youtube channel create kar ke kaam nahi bananewala, apko logon ko conent dena padega, o bhi accha content dena padega taki log apke blog, website ya fir youtube pe log daily visit kar sake.
Affiliate Marketing
Affiliate marketing is a best online earning. Is sesion me sabse jyada agar youtuber ya fir blogger kama rahe hai to vah affiliate marketing se.
Affiliate marketing kya hai? (What is the affiliate marketing)
Affiliate marketing ek agentship hai. Jaise ke LIC ka agent apake pass akar apko LIC ki alag alag schems batakar apke policy nikalwata hai same vaisehi aap apko achha lagnewala koi compony ka product ke bareme kuch achhi buri bate batakar vah product logon ko bechate hai ur uske badale me apako kuch percentege commision milta hia usiko affiliate marketing bolate hai.
Affiliate marketing componies:-
Market me bohotsari affiliate marketing componies milegi. agar aap youtube ya google pe search karoge to hajaro me affiliate marketing websites milegi unme se kuch aisi hai.
etc
Agar apko Cuelinks ki affiliate marketing karni hai to vah sabse best hai qunke market me jitani bhi affiliate marketing componies hai aur jo affiliate proggram chalati bhi nahi hai unki affiliate marketing cuelinks apko provide karva deti hai.
Cuelinks pe 800 se 1000 tak comonies hai jo affiliate provide karva deti hai, agar apko bhi ya se affiliate start karni hai is link pe click karke aap abhi apana registration kar sakate hai.
Sponcership
Sponcership bhi najadik najadik affiliate marketing ki tarah hi hai lekin affiliate marketing me apko apne kitane product sell kiye usake hisab se paise paid kiye jate hai aur sponcership me apko kisi product ka ekbar videos banakar chodane par ya fir us product ke blog likhane ke baad one time apko paise paid kiye jate hai.
Sponcership se bhi bohot sare log aaj ke din me kama rahe hai.
Dosto yeh the kuch online earnings karne ke tarike ya fir Online earning kaise karni hai iske kuch upay. lekin abhi bhi bohot sare marg hai online earning karne ke. mai apko kisi dusari baar unke barene bataunga.
Aaj ke liye itana hi. agar apko ajka topic accha lage to comment karke hamar utsah jarur badha dena.