Post Office Monthly Income Scheme (MIS) Interest Rate 2020 and Features

 Post Office Monthly Income Scheme (MIS) Interest Rate 2020 and Features

Agar aap apake paise safe kahi pe fd karna chahate hai to Post Office ki Monthly Income Scheme (MIS) yeh ek bohot hi achhi aur safe schemes hai. MIS ke jo bhi features hai usake bareme aapko aaj jankari denge.


FEATURES OF MONTHLY INCOME SCHEME (MIS) 

MIS ek bohot hi faydemand schemes hai jo har post office me apko milegi. is scheme me apko har mahine apka byaj (interest) apke Post Office saving bank ke khate me jama hoga ya fir aap har mahine nikal bhi sakate hai.

Jin logon ko apane paise invest karke uske interest fayda lena hai un logon ko yeh scheme ek sone pe suhaga hai.

Yeh scheme jyadatar senior cityzen logon ko pasand hoti hai, aur retired log inme paise invest karte hai, lekin is scheme me koi bhi  adami apana khud ka ya fir joint me khata khol sakata hai.

Lekin is scheme me senior cityzen ke liye koi khas ya fir jyada benifit nahi milta hai, normal jo account hota hai vaisehi ekme features hai. Agar aap senior cityzen hai aur apko senior cityzen ka account kholna hai to vah bhi post office me uplabdh hai, aap uska bhi fayda le sakate hai.

MIS account aap agar single nikal rahe hai to apko jyada se jyada 4.5 lakh rupaye hi jama kar sakte hai aur agar joint me nikal rahe hai to maximum limit hai 9 lakh.

Iska interest har mahine aap le sakate hai.

aak le time pe rate of interest hai. 6.6%

Is scheme ka maturity period hai 5 saal.

01.04.2020 se is scheme me koi bhi bonus nahi diya jata hai, Isase pehle bonus milta tha.

Apka jo interest hai oh agar aap har mahine nahi le sakate to vah apke post office saving bank ke account me automatic jama ho jata hai.

Is scheme me kamse kam 1000/- jama kar sakte hai.

MONTHLY INCOME SCHEME (MIS) INTEREST RATE:

Tenure:- 5 Year

Rate of interest:- 6.6% (Sept2020)

Amount limit:- 1. Single Min- 1000/-  Max- 4.50 lakh
                         2. Joint Min- 1000/-  Max- 9 Lakh
Prematurity : After 12 Month with some deduction of prencipal amount.


और नया पुराने