How many years FD will double in post office in 2020?
Post Office Saving Bank (POSB) aur Post Office Time Deposite yeh ek sabse purani seva hai jo apko bank jaise facilities deti hai aur sabse safe hai qunke Post Office me jo bhi aap vyavhar karte ho vah direct aap government of india se karte ho aur kuch galat hua to government iski jimmedari leta hai.
Isi topic pe ham aaj baat karnewale hai ki bohot sare log puchhate hai ki Kya ham post office me saving kar sakte hai? Kya post office me saving karna safe hai? To mai batana chahunga ki ha, post office me saving karna aaj ke time me sabse safe jariya hai.
Post office ek sabse purana bank hai jo bank ki facilities deta hai sath hi sath sabhi banko se achhe interest hote hai aur koi chhupe charges bhi nahi hote hai.
Iske alava aap agar Post Office ke grahak banana chahate hai to apko jo bhi facilities milegi vah apke ghar tak mil sakti hai, Post Office ke branch office chhote chhote gaon me bhi base hua hote hai.
Post Office Schemes
Post office me bohot sari schemes hai jinme aap fix deposite kar sakte hai. jaise ki,
- SUKANYA SAMRUDDHI YOJANA (SSA)
- RECURRING DEPOSIT (RD)
- TIME DEPOSIT (TD)
- MONTHLY INCOME SCHEME (MIS)
- SENIOR CITIZEN SAVING SCHEME (SCSS)
- PUBLIC PROVIDENT FUND (PPF)
- NATIONAL SAVING CERTIFICATES (NSC)
- KISAN VIKAS PATRA (KVP)
- SAVING ACCOUNT (SB)
Isase pehale ki ham in sari schemes ki puri jankari le, Iske pehle ham jan lete hai ki aaj ke time me iske interest rate kay hai.
Mai apko batana chahunga ki jo bhi ham yaha pe interest rate de rahe hai yeh abhi ke hai yane ki aaj Sep 2020 ke hai aur yeh interest rate har 3 Months me change ho jate hai.
Abhi corona ke is time me interest rate kafi kam ho chuke hai, Lekin isase pehle isase bhi adhik interest rate the yeh dhyan me rakhana jaruri hai taki apko galatfaimi na ho.
Post Office Saving Schemes interest rate
- SUKANYA SAMRUDDHI YOJANA (SSA)- 7.6
- RECURRING DEPOSIT (RD)- 5.8
- TIME DEPOSIT (TD)-
1yr- 5.5, 2yr 5.5, 3yr 5.5, 5yr 6.7
- MONTHLY INCOME SCHEME (MIS)- 6.6
- SENIOR CITIZEN SAVING SCHEME (SCSS)- 7.4
- PUBLIC PROVIDENT FUND (PPF)- 7.1
- NATIONAL SAVING CERTIFICATES (NSC)- 6.8
- KISAN VIKAS PATRA (KVP)- 6.9 or 10.4 yr double
- SAVING ACCOUNT (SB)- 4.0
Basicaly ham yaha pe Kisan Vikas Patra (KVP) ke bare me baat karnewale hai, KVP ek prachalit post office FD prakar hai jo sabhi logo ka pasandida hai. Kisan Vikas Patra me FD karne se paisa double hota hai.
Agar apko upar diye kisi bhi scheme ke bare me jankari chahiye ho to aap muze comments kar ke batayiye, taki mai apko special usi scheme pe blog post likhu aur apko jankari mile.
Silent features of Kisan Vikas Patra (KVP)
KVP me aap agar FD kar rahe ho to apake paise 124 Months me double ho jayege. Agar isko year me convert karen to 10 saal aur 4 months me apka paisa double ho jayega.
KVP pehle certificates ke rup me milta tha lekin picchale 2 saal se ise discountinue kardiya gaya hai aur ab dusari schemes ki tarah isko bhi books ki rup me diya jata hai.
KVP me apko minimum 1000/- deposit karne padate hai aur agar maximum ki baat karen to iski koi limit nahi hai. Aap chahe jitana isme invest kar sakate hai.
KVP aap single ya fir joint me bhi open kar sakate ho sath hi sath agar aap apane minor ke naam kholana chaho to bhi apako iski facility hai sath hi aap nomination bhi kar sakate hai.
KVP apko kisi bhi post office me invest karne ko milega. Yeh ek khas baat hai ki apko kahi dur bank me jane ki jarurat nahi hai, aap apane gaon ke branch office me bhi khol sakate hai. (Branch post office me jaldi hi suru honewala hai).
KVP account aap ek post office se dusare post office bhi transfer kar sakate hai jo ki normal charges leke transfer kiya ja sakata hai.
Agar apko Kisan Vikas Patra KVP me invest karne ke baad koi kaam ata hai, to aap 2.5 year me vah investment tudava sakate hai, Normal interest rate se apko apke pure paise mil jayenge.
Post Office Saving Bank - The safest investment
Post office me jo bhi aap invest karte ho to apake paise apko return mil jane ki 100% khatri hoti hai. Bharat sarkar iska jimmedar hota hai. Isiliye Post Office Saving Bank - The safest investment aisa kaha jata hai.
Agar apko aur jankari chahiye ho to aap INDIA POST ki website https://www.indiapost.gov.in pe visit kar sakate hai.
Hamara blog aapko kaisa laga jarur comment me bataye, Taki hamko motivation mile aur aisehi achhe achhe topic apke liye ham late rahe.
Tags:
General Tips